Thursday, September 24, 2009

Shayari

Kismat par etabar kisko hain
Mil jaye khusi inkar kisko hain
Kuch majbooriya hain mere dost
Warana judai se pyar kisko hain

Kal na phir ye samaa hoga,
Hum mein se kaun najaane kahaan hoga..?
Murjhaaye phool to mil jaenge kitaabon mein,
Par bicchde Doston ka shayad hi koi pataa hoga….

Kya zamaana tha,hum roz mila karte the;
Raat bhar chaand ke humraaz fira karte the..
Dekh kar jo chupchaap guzar jaate hain,
Kabhi us shakhs ko apna Dost kaha karte the….

Rishton ki kitaab ka cover hai dosti,
Dosti se bani hai hamari hasti,
Khoon ke rishton ki baat aap karte hain,
Hamare liye to zindagi hai aap ki dosti.

Dost dost se khafa nahi hota,
Pyaar pyaar se juda nahi hota.
Bhula dena meri kamiyon ko,
Kyunki insaan kabhi Khuda nahi hota…

Ye safar Dosti ka kabhi khatm na hoga,
Doston se pyaar kabhi kam na hoga.
Door rehkar bhi jab rahegi mehek iski,
Hamein kabhi bicchadne ka gham na hoga…

Hum wo nahi jo tujhe gham mein chhod denge,
Hum wo nahi jo tujhse naata tod denge…
Hum to tere wo Dost hain,
Jo agar teri saasein band ho,
to apni saasein jod denge…..

Karni Khuda se kuch fariyaad baaki hai,
Hamein unse kehni kuch baat baaki hai…
Maut aegi to kehna ruk,abhi apne Dost se
Mulaakaat baaki hai….

Wada to nahi karte dosti nibhaynge,
Koshish yahi rahegi apko nahi satayenge,
Zarurat pade to dilse pukarna,
Marte bhi honge to mohlat lekar aayenge

Har koi pyar k liye tadapta hai….
Har koi pyar k liye rota hai….
Ae dost ye dosti sada kayam rakhna…
Kyunki sabse jyada pyar iss dosti mei he hota hai…

Aye mohabbat tere anjaam pe rona aaya
Jaane kyon aaj tere naam pe rona aaya
Yun to har sham umedon mein guzar jaati hai
Aaj kuch baat hai jo sham pe rona aaya

Tum hanso to khusi mujhe hoti hai,
Tum rodo to aankhein meri roti hain.
Mehsoos kar ke dekh lo…..
Dosti aise hi hoti hai.

Geet ki zaroorat mehfil mein hoti hai
Pyar ki zaroorat dil mein hoti hai
Bin dosti ke adhuri hai yeh zindagi
Kyunki dost ki zaroorat har pal mehsus hoti hai

Har rishtonke mukaam nahin hote…
Dil ke rishtonke koi naam nahin hote……
Paaya hai Aapko dil ki roshni se……….
Aap jaise dost kisike liye Aam nahin hote………

Aapki dosti ki ek nazar chahiye;
Dil hai beghar use ek Ghar chahiye
Bas yun hi saath chalte raho ae dost;
Yeh Dosti hume umar bhar chahiye.

Dost hai to Aansuo ki bhi shaan hoti hai,
Dost na ho to Mahfhil bhi Kabristaan hoti hai,
Sara khel to dosti ka hi hai,
Warna mayyat aur barat ek saman hoti hai.

Zindagi me Jab Maayus hue Hum…..
To Socha k kya paaya kya khoya…….
Khone ka to hisaab na laga paaye…
Yaad raha to bas itna…ke…
Zindagi se bhi pyara..
Aap jaisa Ek dost Paaya…

Safar lamba hai dost banate rahiye,
Dil mile na mile haath badate rahiye,
Taj na banaiye costly padega,
Har taraf Mumtaj banate rahiye.

Na khwabon me dekha, na nazaron me dekha,
Hazaron me ek humne tum hi ko dekha,
Gum dene wale to har pal hai yahan,
Har pal khushi dene walon me ek aap hi ko dekha.

Woh Zindagi hi kya jisme Mohabbat nahi,
Woh Mohabbat hi kya jisme Yaadein nahi,
Woh Yaadein kya jisme Tum nahi,
Aur woh Tum hi kya jiske saath Hum nahi.

Raatein gumnam hoti hai,
Din kisike naam hota hai,
Hum zindagi kuch is tarah jite hai,
Ki har lamha sirf doston ke hi naam hota hai.

Khushiyon par fizaon ka pehra hai,
Na jane kis umeed pe dil thehra hai,
Teri ankhon se jhalakte dard ki kasam,
Yeh dosti ka rishta pyar se gehra hai.

Yun to kisika peecha nahin karte,
Dard-e-dil diya aur liya nahin karte,
Ittefaq ki baat hai ye hamari dosti varna,
Itna kimti SMS kisi ko kiya nahin karte.

Har karz dosti ka ada kaun karega,
jab hum hi na rahenge to dosti kaun karega,
Aey khuda mere doston ko salamat rakhna,
varna mere jeene ki dua kaun karega.


Here is another one

Shehar ki Gali mein paan ki dukan,
devdas ne dekhi paro ki muskan,
devdas ne khilaya paro ko paan,
khake paan paro boli,"shukriya Bhaijaan

No comments:

Post a Comment